Aah-e-zindan Mein Jo Ki CharKH Pe Aawaz Gai
aah-e-zindan mein jo ki charKH pe aawaz gai
par gae par na meri KHwahish-e-parwaz gai
yaad itna hai mere lab pe fughan aai thi
phir KHuda jaane kahan dil ki ye aawaz gai
main ne anjam se pahle na palaT kar dekha
dur tak sath mere manzil-e-aghaz gai
maut jis rah mein ghabra ke qadam rakhti thi
zindagi apni wahan bhi ba-sad andaz gai
par bhi bazu ke the mazbut azaem puKHta
phir bhi bekar meri koshish-e-parwaz gai
dekhte dekhte KHamosh hua naghma-e-dil
tar jab TuT gae saz ki aawaz gai
ai 'falak' main jo gaya su-e-falak shor hua
mahfil-e-dahr se ek hasti-e-mumtaz gai
(667) Peoples Rate This