Utarne Wali Dukhon Ki Baraat Se Pahle
utarne wali dukhon ki baraat se pahle
charagh banT do basti mein raat se pahle
yunhi milega na aab-e-hayat ka chashma
guzarna hoga lahu ki furaat se pahle
bashar jo aaj hai tahzib-o-irtiqa ka amin
faqat darinda tha irfan-e-zat se pahle
hami ne maut ki tardid mein zaban kholi
hamin ne pyar kiya hai hayat se pahle
wahan to baat bhi karna jihad karna hai
jahan pe honT siye jaen baat se pahle
nai hayat 'hazin' fan ko de gaya 'ghaalib'
agarche mar gaya tha wo wafat se pahle
(940) Peoples Rate This