Umr Bhar Bahte Hain Gham Ke Tund-rau Dhaaron Ke Sath
umr bhar bahte hain gham ke tund-rau dhaaron ke sath
jaane kyun hote hain itne zulm fankaron ke sath
abr ki surat baraste hain buland-o-past par
hum nahin aansu bahate lag ke diwaron ke sath
zehn ke parde pe raqsinda hain pyasi suraten
hum nashe mein kaise bah sakte hain mai-KHwaron ke sath
roz KHun-e-arzu hota hai phir bhi pyar hai
hum ko ai hasti tere dilchasp bazaron ke sath
ham-safar hai KHak-o-baad-o-atish-o-ab ai 'hazin'
kash nibh jae hamari ab inhi chaaron ke sath
(957) Peoples Rate This