Phir Faza Dhundla Gai Aasar Hain Tufan Ke
phir faza dhundla gai aasar hain tufan ke
kanpte hain phul kamre mein mere gul-dan ke
chal rahe hain dil mein naKHlistan ka arman liye
hum musafir zindagi ke tapte registan ke
sail-e-gham rakhta hai yun mere iradon ko jawan
jis tarah sailab mein phalte hain paude dhan ke
toD dega ek na ek din ye tilism auham ka
saf dete hain pata tewar nae insan ke
dosto jis dam utar jata hai gandum ka KHumar
zehn ki shaKHon se uD jate hain panchhi dhyan ke
(1014) Peoples Rate This