Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_7f4c455a35f6f77cc32a09b0d11c07a3, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mere Riyaz Ka AaKHir Asar Dikhai Diya - Hazin Ludhianvi Poetry In English - Darsaal

Mere Riyaz Ka AaKHir Asar Dikhai Diya

mere riyaz ka aaKHir asar dikhai diya

chhupa tha dil mein jo naghma mujhe sunai diya

jahan-shanas o KHud-agah kar diya mujh ko

mere shuur ne wo dard-e-ashnai diya

jo pa liya tujhe main KHud ko DhunDne nikla

tumhaare qurb ne bhi zaKHm-e-na-rasai diya

abhi to toD thake bazuon ki patwaren

wo dur ufuq pe koi baadban dikhai diya

zamane bit gae dasht dasht phirne ke

nae shuur ne hum ko safar KHalai diya

(909) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mere Riyaz Ka AaKHir Asar Dikhai Diya In English By Famous Poet Hazin Ludhianvi. Mere Riyaz Ka AaKHir Asar Dikhai Diya is written by Hazin Ludhianvi. Read famous Poem Mere Riyaz Ka AaKHir Asar Dikhai Diya for youth and Student by Hazin Ludhianvi. Free Download Mere Riyaz Ka AaKHir Asar Dikhai Diya in PDF.