Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_be644b57da62f03fd01e165a55d6b86c, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mere Kalam Mein Pechida Istiara Nahin - Hazin Ludhianvi Poetry In English - Darsaal

Mere Kalam Mein Pechida Istiara Nahin

mere kalam mein pechida istiara nahin

ki harf-e-sidq chhupana mujhe gawara nahin

mere liye yahi maujen hain daman-e-iliyas

bhanwar mein hun mere donon taraf kinara nahin

duaen mangta hun subh ke ujalon ki

andheri wasl ki shab bhi mujhe gawara nahin

tere mizaj ke resham mein kaise aag lagi

meri ghazal ka KHunuk lafz to sharara nahin

dil-o-dimagh ko kya dega raushni wo 'hazin'

nai hayat ka jo lafz goshwara nahin

(941) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mere Kalam Mein Pechida Istiara Nahin In English By Famous Poet Hazin Ludhianvi. Mere Kalam Mein Pechida Istiara Nahin is written by Hazin Ludhianvi. Read famous Poem Mere Kalam Mein Pechida Istiara Nahin for youth and Student by Hazin Ludhianvi. Free Download Mere Kalam Mein Pechida Istiara Nahin in PDF.