Kya Gul Khilae Dekhiye Tapti Hui Hawa
kya gul khilae dekhiye tapti hui hawa
masmum ho gai hai mahakti hui hawa
ye chithaDon mein phul ye sargarm-e-kar log
ye dopahar ki dhup ye jalti hui hawa
zinda wahi rahega jise ho shuur-e-zist
kahti hai roz rang badalti hui hawa
baadal ghire to aur bhi shoala-fishan hui
phulon ki pattiyon ko jhulasti hui hawa
tufan-e-gard-o-baad se sanwla na jaen log
phir ruk gai hai shahr mein chalti hui hawa
kumhla na jae gulshan-e-sham-o-sahar 'hazin'
muddat se chal rahi hai sulagti hui hawa
(930) Peoples Rate This