Is Tarah Paikar-e-wafa Ho Jaen
is tarah paikar-e-wafa ho jaen
ek duje ka aasra ho jaen
aao mil baiTh kar hansen bolen
nahin malum kab juda ho jaen
dukh kisi ko ho hum taDap uTThen
is qadar dard-ashna ho jaen
KHushk dharti chaTaKH rahi ho jab
bhari barsat ki ghaTa ho jaen
shahar jamid hai log be-awaz
aise mahaul mein sada ho jaen
dushmanon ke liye banen sarsar
doston ke liye saba ho jaen
jo hamein dekhe dekh le KHud ko
sar-ba-sar sath-e-aina ho jaen
aag dil ki agar bhaDak uTThe
ye dhundalke sahar-numa ho jaen
rang-e-alam badal raha hai 'hazin'
nahin malum kya se kya ho jaen
(1023) Peoples Rate This