Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_0c2e646c6e995dce1c908297c1824789, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Dard Ke Sip Mein Paida Hui Bedari Si - Hazin Ludhianvi Poetry In English - Darsaal

Dard Ke Sip Mein Paida Hui Bedari Si

dard ke sip mein paida hui bedari si

raat ki rakh mein sulgi koi chingari si

dekhiye shahr mein kab baad-e-yaqin chalti hai

ku-ba-ku phaili hai auham ki bimari si

maut ka war to mein sah gaya hanste hanste

zindagi tu hi koi choT laga kari si

kya se kya ho gai mahaul ki lau mein jal kar

wo jo laDki nazar aati thi bahut pyari si

jitne muflis hain wo ek roz tawangar honge

ek afwah suni hai magar aKHbari si

(824) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Dard Ke Sip Mein Paida Hui Bedari Si In English By Famous Poet Hazin Ludhianvi. Dard Ke Sip Mein Paida Hui Bedari Si is written by Hazin Ludhianvi. Read famous Poem Dard Ke Sip Mein Paida Hui Bedari Si for youth and Student by Hazin Ludhianvi. Free Download Dard Ke Sip Mein Paida Hui Bedari Si in PDF.