Aansu Ko Apne Dida-e-tar Se Nikalna
aansu ko apne dida-e-tar se nikalna
lagta hai mehman ko ghar se nikalna
sukhe hue shajar mein lahhu to nahin hai KHushk
konpal koi numu ki shajar se nikalna
is yaKH-zada faza mein gar uDne ka qasd hai
be-his ruton ki barf ko par se nikalna
jis subh ke jilau mein shabon ka hujum ho
kirnon ko aise dam-e-sahar se nikalna
jis se shab-e-hayat ka sannaTa TuT jae
aawaz aisi saz-e-hunar se nikalna
sab ka nahin ye ahl-e-basirat ka kaam hai
gahri KHabar bhi sathi KHabar se nikalna
rasta kaThin ho lakh na hona 'hazin' malul
pahlu KHushi ka ranj-e-safar se nikalna
(890) Peoples Rate This