Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_5c3fad8dc8b69b6378c9bb16c198afe4, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ye Jo Har Shai Mein Teri Jalwagari Hai Ai Dost - Hazar Lakhnavi Poetry In English - Darsaal

Ye Jo Har Shai Mein Teri Jalwagari Hai Ai Dost

ye jo har shai mein teri jalwagari hai ai dost

ye bhi meri wasi-un-nazari hai ai dost

KHanda-e-gul hai jo zaKHm-e-jigari hai ai dost

mauj-e-gham mauj-e-nasim-sahari hai ai dost

teri firdaus-KHayali ho mubarak tujh ko

meri jannat mere daman ki tari hai ai dost

kya samae gham-e-insan nigah-e-insan mein

arsh-paimai bhi fahm-bashari hai ai dost

mujh ko aata hai musibat mein ghazal-KHwan hona

meri mearaj meri be-hunari hai ai dost

jis ko kahte hain teri yaad mein gum ho jaana

wo bhi ek silsila-e-ba-KHabri hai ai dost

toD kar mujh ko zara aaina-e-qalb hazar

kitna majbur fan-e-shisha-gari hai ai dost

(859) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Jo Har Shai Mein Teri Jalwagari Hai Ai Dost In English By Famous Poet Hazar Lakhnavi. Ye Jo Har Shai Mein Teri Jalwagari Hai Ai Dost is written by Hazar Lakhnavi. Read famous Poem Ye Jo Har Shai Mein Teri Jalwagari Hai Ai Dost for youth and Student by Hazar Lakhnavi. Free Download Ye Jo Har Shai Mein Teri Jalwagari Hai Ai Dost in PDF.