Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_109175cc249164e0812a0ba251cf205b, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mahdud-nigahi Ke Sanam TuT Rahe Hain - Hayat Warsi Poetry In English - Darsaal

Mahdud-nigahi Ke Sanam TuT Rahe Hain

mahdud-nigahi ke sanam TuT rahe hain

tarik ujalon ke bharam TuT rahe hain

is daur ki badli hui raftar ka aalam

shishon ki tarah naqsh-e-qadam TuT rahe hain

tishna hai mera jam to kuchh gham nahin saqi

ye gham hai ki rindon ke bharam TuT rahe hain

is raaz ko arbab-e-siyasat se na puchho

kyun rabta-e-dair-o-haram TuT rahe hain

ye zist hai ya rit ka kamzor gharaunda

ban ban ke yun hi sadiyon se hum TuT rahe hain

haalat ka ye ruKH bhi 'hayat' aap samajh len

kyun zulm ba-andaz-e-karam TuT rahe hain

(807) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mahdud-nigahi Ke Sanam TuT Rahe Hain In English By Famous Poet Hayat Warsi. Mahdud-nigahi Ke Sanam TuT Rahe Hain is written by Hayat Warsi. Read famous Poem Mahdud-nigahi Ke Sanam TuT Rahe Hain for youth and Student by Hayat Warsi. Free Download Mahdud-nigahi Ke Sanam TuT Rahe Hain in PDF.