Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_2bbd3adfd449f1ba5a031e0ff7f7dd02, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jo Mai-kade Mein Bahakte Hain LaDkhaDate Hain - Hayat Warsi Poetry In English - Darsaal

Jo Mai-kade Mein Bahakte Hain LaDkhaDate Hain

jo mai-kade mein bahakte hain laDkhaDate hain

mera KHayal hai wo tishnagi chhupate hain

zara sa waqt ke suraj ne ruKH jo badla hai

mere wajud pe kuchh sae muskuraate hain

dilon ki samt pe lafzon ke sang mat phenko

zara si Thes se aaine TuT jate hain

tilism-e-zat ki phaili hai tirgi itni

ki wusaton ke ujale simaTte jate hain

sitam-zarifi-e-haalat ka karishma hai

bhaTakne wale mujhe raste batate hain

jinhen 'hayat' shuur-e-hayat hasil hai

fareb dete nahin hain fareb khate hain

(1029) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Mai-kade Mein Bahakte Hain LaDkhaDate Hain In English By Famous Poet Hayat Warsi. Jo Mai-kade Mein Bahakte Hain LaDkhaDate Hain is written by Hayat Warsi. Read famous Poem Jo Mai-kade Mein Bahakte Hain LaDkhaDate Hain for youth and Student by Hayat Warsi. Free Download Jo Mai-kade Mein Bahakte Hain LaDkhaDate Hain in PDF.