Dastan-e-fitrat Hai Zarf Ki Kahani Hai
dastan-e-fitrat hai zarf ki kahani hai
jitna uthla dariya hai utna tez pani hai
jin labon ne sincha hai tishnagi ke KHaron ko
ab unhin ke hisse mein jam-e-kaamrani hai
phir se khulne wala hai koi taza gul shayad
baghban ki phir hum par KHasi mehrbani hai
aql kab se bhaTke hai nafraton ki wadi mein
pyar ki magar ab bhi dil pe hukmarani hai
zaKHm khate rahte hain muskuraate rahte hain
hum wafa-shanason ki ye ada purani hai
barf ban gae arman munjamid hue jazbe
zist ke samundar mein kitna sard pani hai
apne sae se hum KHud ai hayat Darte hain
maslahat ki duniya mein kitni bad-gumani hai
(818) Peoples Rate This