Par-e-jibril Bhi Jis Rah Mein Jal Jate Hain
par-e-jibril bhi jis rah mein jal jate hain
hum wahan se bhi bahut dur nikal jate hain
mahfil-e-dil ko hai mange ke ujale se gurez
dip daghon ke sar-e-sham hi jal jate hain
saf uD jata hai KHasan-e-KHarabaat ka rang
hum wo mai-KHwar hain pi pi ke sambhal jate hain
ek haqiqat hi haqiqat hai azal ho ki abad
waise afsanon ke unwan badal jate hain
dekhiye naqsh-e-kaf-e-pa-e-wafa ka eajaz
raste dudh ke manind ubal jate hain
zindagi asl mein tamir-e-mohabbat hai 'hayat'
de ke hum dahr ko paigham-e-amal jate hain
(789) Peoples Rate This