Khaal-e-ruKHsar Ko Dagh-e-mah-e-kaamil Bandha
KHal-e-ruKHsar ko dagh-e-mah-e-kaamil bandha
chashm-e-maKHmur ko kaunain ka hasil bandha
hum ne is shahr-e-sitamgar ke har ek zarre ko
zauq-e-sajda ki qasam sajda-gah-e-dil bandha
hum ne har wadi-e-pur-KHar ko zinat baKHshi
sar pe har KHar ke ek turra-e-manzil bandha
koi dekhe to sahi hausla-mandi apni
hum ne tufan ki har ek mauj ko sahil bandha
jazba-e-dil ko ba-andaz-e-digar main ne 'hayat'
kabhi kashti kabhi tufan kabhi sahil bandha
(821) Peoples Rate This