Ye Jazba-e-talab To Mera Mar Na Jaega
ye jazba-e-talab to mera mar na jaega
tum bhi agar miloge to ji bhar na jaega
ye iltija dua ye tamanna fuzul hai
sukhi nadi ke pas samundar na jaega
jis zawiye se chaho meri samt phenk do
mujh se mile baghair ye patthar na jaega
dam-bhar ke waste hain bahaaren sameT lo
viraniyon ko chhoD ke manzar na jaega
yun KHush hai apne ghar ki fazaon ko chhoD kar
jaise wo zindagi mein kabhi ghar na jaega
us ko bulandiyon mein musalsal uchhaaliye
lekin wo apni satha se upar na jaega
shahr-e-murad mil bhi gaya ab to kya 'hayat'
mayusiyon ka dil se kabhi Dar na jaega
(801) Peoples Rate This