Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_f2f3a237e5d24b64fb5d3a5fab53a69c, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Wahm-o-guman Mein Bhi Kahan Ye Inqilab Tha - Hayat Lakhnavi Poetry In English - Darsaal

Wahm-o-guman Mein Bhi Kahan Ye Inqilab Tha

wahm-o-guman mein bhi kahan ye inqilab tha

jo kuchh bhi aaj tak nazar aaya wo KHwab tha

pa-e-murad pa ke wo behaal ho gaya

manzil bahut hasin thi rasta KHarab tha

chehre ko tere dekh ke KHamosh ho gaya

aisa nahin sawal tera la-jawab tha

us ke paron mein quwwat parwaz thi magar

un mausamon ka apna bhi koi hisab tha

aankhon mein zindagi ki tarah aa basa hai wo

meri nazar mein pahle jo manzar KHarab tha

jaise hawa ka jhonka tha aa kar guzar gaya

wo shaKHs is ke baad kahan dastiyab tha

sara kalam us se muanwan hua 'hayat'

jis ka wajud KHud bhi mukammal kitab tha

(772) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wahm-o-guman Mein Bhi Kahan Ye Inqilab Tha In English By Famous Poet Hayat Lakhnavi. Wahm-o-guman Mein Bhi Kahan Ye Inqilab Tha is written by Hayat Lakhnavi. Read famous Poem Wahm-o-guman Mein Bhi Kahan Ye Inqilab Tha for youth and Student by Hayat Lakhnavi. Free Download Wahm-o-guman Mein Bhi Kahan Ye Inqilab Tha in PDF.