Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_615d7bdabc37e2f71a64e497b44dd167, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Sune Sune UjDe UjDe Se Gharon Mein Le Chalo - Hayat Lakhnavi Poetry In English - Darsaal

Sune Sune UjDe UjDe Se Gharon Mein Le Chalo

sune sune ujDe ujDe se gharon mein le chalo

mujh ko mere roz-o-shab ke manzaron mein le chalo

kuchh to apne pas bhi ho zindagi ke waste

koi to sauda-e-KHam apne saron mein le chalo

na-rasai ka tasawwur kyun uDanon mein rahe

manzilon ki duriyan apne paron mein le chalo

shahr ki ranginiyon mein hain kahan gunjaishen

zat ki viraniyan sab maqbaron mein le chalo

phir tumhaare mabadon ko mil gae mabud kuchh

phir hamare jism murda pattharon mein le chalo

kuchh na kuchh ban jaega naqd-o-nazar ke baad wo

masala kuchh bhi na ho danishwaron mein le chalo

aaj pahli bar mujh se kyun wo haara hai 'hayat'

aaj mujh ko shahr ke bazigaron mein le chalo

(790) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sune Sune UjDe UjDe Se Gharon Mein Le Chalo In English By Famous Poet Hayat Lakhnavi. Sune Sune UjDe UjDe Se Gharon Mein Le Chalo is written by Hayat Lakhnavi. Read famous Poem Sune Sune UjDe UjDe Se Gharon Mein Le Chalo for youth and Student by Hayat Lakhnavi. Free Download Sune Sune UjDe UjDe Se Gharon Mein Le Chalo in PDF.