Kab Qabil-e-taqlid Hai Kirdar Hamara
kab qabil-e-taqlid hai kirdar hamara
har lamha guzarta hai KHatawar hamara
marna bhi jo chahen to wo marne nahin dega
jina bhi kiye rahta hai dushwar hamara
achchha hai udhar kuchh nazar aata nahin hum ko
jo kuchh bhi hai wo sab pas-e-diwar hamara
ek roz to ye fasla tai kar ke rahenge
hai kab se koi muntazir us par hamara
hum ko ye KHushi hai ki idhar aae to patthar
hai shahr mein koi to talabgar hamara
koi to ye tanhai ka ehsas miTae
koi to nazar aae taraf-dar hamara
hum ne to 'hayat' aas lagai hai KHuda se
hai us ke siwa kaun madad-gar hamara
(1012) Peoples Rate This