Na Hoti Haal-e-dil Kahne Ki Gar Himmat To Achchha Tha
na hoti haal-e-dil kahne ki gar himmat to achchha tha
na sunet kash wo sharh-e-gham-e-ulfat to achchha tha
meri betabi-e-dil baDh gai hai al-aman kitni
nikalti gar na shauq-e-did ki hasrat to achchha tha
wo rahat-be-ziyan sabit hui kitni hubab-asa
kabhi hota na itmam-e-shab-e-furqat to achchha tha
hua kyun iltifat un ka baDha kyun hausla mera
nihan phulon mein rahti aah gar nikhat to achchha tha
tamanna hai fuzun hon shorishen jazb-e-mohabbat ki
dil-e-muztar ki baDhti aur bhi wahshat to achchha tha
rahen gham ki sharar-angeziyan ya-rab qayamat tak
'haya' gham se na milti gar kabhi fursat to achchha tha
(702) Peoples Rate This