Zulf Andher Karne Wali Hai
zulf andher karne wali hai
tum ne nagan bala ki pali hai
qalamen ruKHsar-e-yar par dekho
surKH hai phul sabz Dali hai
ghair par lutf hai sitam hum par
un ki jo baat hai nirali hai
wah kya munh se phul jhaDte hain
kitni pyari tumhaari gali hai
murgh-e-dil bhi hai sath chiDiya ke
jal angiya ki un ki jali hai
shab-e-furqat ko dekh baKHt-e-siyah
koi bhi raat itni kali hai
kyun qayamat ki chaal chalti ho
is mein aashiq ki paemali hai
dahan-e-yar ka pata na laga
baat kahne ko ek bana li hai
naf-e-mashuq saf moti ki
nannhi-munni si ek pyali hai
kyunkar un ko dun mehr-o-mah se misal
jin ko dawa-e-be-misali hai
rang lai gilauriyan kah kar
lal honThon pe aur lali hai
dil tasawwur mein mahw rahta hai
aashiq-e-shahid-e-KHayali hai
kyun hansae na mujh se rind ko bang
duKHt-e-raz ki bahan hai sali hai
dam ghanimat hai us masiha ka
ab tabibon se shahr KHali hai
KHak uDai hai un ke kuche ki
hum ne sar par zamin uTha li hai
dil mera le ke arsh par hai dimagh
aur hi ab mizaj-e-ali hai
kyun buton ki hamein mohabbat di
kya musibat KHuda ne Dali hai
wan kabhi ghair se kabhi hum hain
roz mauqufi aur bahaali hai
de ke ek bosa-e-lab-e-jaan-baKHsh
tan-e-be-jaan mein jaan Dali hai
kya bala gori gori rangat par
zulf kali hai aankh kali hai
haal mein shairi ka hai ye Dhang
apna jo sher hai wo haali hai
dekho mujh par bahut sitam na karo
pas ai jaan kotawali hai
hum se inkar wasl ka hai abas
hogi jo baat hone wali hai
un ke kuche mein KHak ho jaen
hum ne ek rah ye nikali hai
yar pahlu mein hai na jam-e-sharab
ye bhi KHali hai wo bhi KHali hai
hai sitam ye anile-pan ka banao
kan mein ek ek baali hai
us ke mazhab ka eatibar hai kya
'mehr' ek rind-e-la-ubaali hai
(1939) Peoples Rate This