Wo Zar Hun Ki Sar Pe Gulistan UTha Liya
wo zar hun ki sar pe gulistan uTha liya
wo KHar hun ki pahlu-e-gul ko daba liya
kya mujh se chaal chalte wo main bhi hun chaaliya
katra ke chal diye the ki banda ne ja liya
kya baat bosa-e-lab-e-jaan-baKHsh yar ke
panje se maut ke mujhe us ne bacha liya
main jaise nale karta hun un ke KHayal mein
gay to is tarah se gawayya KHayaliya
un ki gali ke kutte se tu munh ki khaega
haDDi ka mere nam jo tu ne huma liya
taswir khinchta hun sarapa-e-yar ki
hain aalam-e-misal ki sher-e-misaliya
uThwa diya raqib ko wan baiTh baiTh ke
aise jame ki hum ne bhi naqsha jama liya
daghon ki bas dikha di diwali mein raushni
hum sa na hoga koi jahan mein diwaliya
kahne lage murid ki pahunche hue hain aap
musa bana wo hath mein jis ne asa liya
aise na jeb-katre kahin hain na gaTh-kaTe
pahlu mein baiThte hi dil us ne uDa liya
aaya shabab rup pe husn-o-jamal hai
is bagh mein bahaar ne rang ab jama liya
waiz hisab denge wahan tujh se dana-zad
rawaq ka hai shukr jo khilwaya kha liya
yaad aa gai jo hum ko wo gardan surahi-dar
shishe ko mai-kade mein gale se laga liya
lillah bu-e-gul se na kar mujh ko bad-dimagh
KHushbu uDa ke un ke badan ki saba liya
aate hain wo kahin se to ai 'mehr' qarz dam
chikni Dali ilaichi manga pan chhaaliya
(914) Peoples Rate This