Sath Mein Aghyar Ke Main Bhi Saf-e-maqtal Mein Hun
sath mein aghyar ke main bhi saf-e-maqtal mein hun
surat-e-tarkib-e-mauzun misra-e-mohmal mein hun
mujh sa rangin-taba hai tira-darunon mein KHarab
main sharab-e-arghawani hun magar botal mein hun
gand-ha-e-na-tarashida hain hum sohbat meri
in dinon to main bhi KHushbu ki tarah sandal mein hun
aadmi be-his-o-mas main surat-e-mardum giyah
shahr mein hun main ilahi ya kisi jangal mein hun
parda-dar-e-girya-e-be-iKHtiyari faqr hai
barq hai abr-e-siyah mein aur main kammal mein hun
hasil-e-neki hun nekon ko badon ko bad hun 'mehr'
mera hi partaw anat mein hai main hi hanzal mein hun
(880) Peoples Rate This