Rang-e-sohbat Badalte Jate Hain
rang-e-sohbat badalte jate hain
sath ke yar chalte jate hain
jin ki karte ho tum masihai
wo mariz ab sambhalte jate hain
dil mein hone laga huzur ka ghar
aap sanche mein Dhalte jate hain
zulf ulajhte hai un ke baalon se
sanp ka sar kuchalte jate hain
shaeq-e-qatl ku-e-qatil mein
kudte aur uchhalte jate hain
dekhte hain wo apna joban aap
ab to kuchh kuchh sambhalte jate hain
hum to rote udhar se aate hain
aap idhar se machalte jate hain
'mehr' soe the kis ke sath ki subh
ThanDe ThanDe bhi jalte jate hain
(844) Peoples Rate This