Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_cab3e1cca2ac411035e12450666ef5b6, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Putli Ki Ewaz Hun But-e-rana-e-banaras - Hatim Ali Mehr Poetry In English - Darsaal

Putli Ki Ewaz Hun But-e-rana-e-banaras

putli ki ewaz hun but-e-rana-e-banaras

allah phir in aankhon ko dikhlae banaras

rota hun banaras ke tasawwur mein shab-o-roz

ai hinduo dekho ye hai dariya-e-banaras

meri ye wasiyyat se ki mar jaun agar main

to baad-e-saba KHak ko pahunchae banaras

hai kaba-e-maqsud faqat kucha-e-dil-dar

kafir hun jo mujh ko ho tamanna-e-banaras

nazim ho mohammad ka agar lucknow jaun

is mulk mein hun madilat-ara-e-banaras

kabe mein dua mangunga main apne KHuda se

yarab but-e-kafir mujhe bulwae banaras

bangal ko rawana hun raqiban-e-siyah-ru

mere liye ho maskan-e-mawa-e-banaras

main KHush hun tu aabaad rahe warna ilahi

phir pipe se barut ke oDh jae banaras

jab se mujhe qismat ne banaras se chhuDaya

rahta hai zaban par mere bas hae banaras

ek gesuon wale ki mohabbat ka paDa pech

pahle to na tha mujh ko ye sauda-e-banaras

ai 'mehr' tawarud hon jo mazmun to baja hai

main aur 'hazin' donon hain shohda-e-banaras

(942) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Putli Ki Ewaz Hun But-e-rana-e-banaras In English By Famous Poet Hatim Ali Mehr. Putli Ki Ewaz Hun But-e-rana-e-banaras is written by Hatim Ali Mehr. Read famous Poem Putli Ki Ewaz Hun But-e-rana-e-banaras for youth and Student by Hatim Ali Mehr. Free Download Putli Ki Ewaz Hun But-e-rana-e-banaras in PDF.