Puchhega Jo Wo Rashk-e-qamar Haal Hamara
puchhega jo wo rashk-e-qamar haal hamara
ai 'mehr' chamak jaega iqbaal hamara
saude mein teri zulf ke likhte hain jo ashaar
hota hai siyah nama-e-amal hamara
abru ka ishaara kiya tum ne to hui id
ai jaan yahi hai mah-e-shawwal hamara
har bar dikhata hai junun KHana-e-zanjir
is ghar mein guzara hua har sal hamara
aate hi wo kahte hain ki jate hain bas ab hum
be-chain hain mangwaiye sukh-pal hamara
mazmun na bandha mu-e-kamar ka to wo bole
TeDha na hua shairon se baal hamara
mahtab se kahta hai mera chand ka TukDa
ruKHsar tera saf hai ya gal hamara
tum arsh hilate ho qadam rakh ke zamin par
is chaal se dil ho gaya pamal hamara
ek pal bhi juda dida-e-tar se nahin hota
ab aankh ka parda hua rumal hamara
yan ruh pe hota hai us aawaz ka sadma
ji lega shab-e-wasl mein ghaDiyal hamara
yan ganj-e-maani hai to wan sim-o-zar ai 'mehr'
daulat wo baKHilon ki hai ye mal hamara
(1069) Peoples Rate This