Nala-e-garm Ke Aur Dam Sard Bhare Kya Jien Hum To Mare
nala-e-garm ke aur dam sard bhare kya jien hum to mare
ham-safiran-e-chaman ra ki rasand KHabre az man-e-nauha-gare
fasl-e-gul aai ye aur mein hun giraftar-e-qafas kuchh bhi chalta nahin bas
ham-safiran-e-chaman ra ki rasand KHabre az man-e-nauha-gare
phans gae dam mein sayyaad ke shayad bulbul rose sunta hun ye ghul
ham-safiran-e-chaman ra ki rasand KHabre az man-e-nauha-gare
main hun sayyaad hai aur shor-o-fughan-o-faryaad koi deta nahin dad
ham-safiran-e-chaman ra ki rasand KHabre az man-e-nauha-gare
bhul kar kunj-e-qafas tak kabhi aae na saba na sunana nala mera
ham-safiran-e-chaman ra ki rasand KHabre az man-e-nauha-gare
koi qatil main rahi 'mehr' se kitni hi shahid main hun aur qaid-e-shadid
ham-safiran-e-chaman ra ki rasand KHabre az man-e-nauha-gare
(733) Peoples Rate This