Kucha Mein Jo Us ShoKH-hasin Ke Na Rahenge
kucha mein jo us shoKH-hasin ke na rahenge
to dair-o-haram kya hai kahin ke na rahenge
nazdik kabhi KHuld-e-barin ke na rahenge
ham-saya bhi ab hum to hasin ke na rahenge
main said hun wahshi mujhe fitraki kahalwa
do tar bhi ab daman-e-zehn ke na rahenge
par wae wasila ho sulaiman ko mubarak
hum nam ko muhtaj nagin ke na rahenge
mar jaenge izhaar-e-tamanna hi se pahle
sunne ko tere munh se nahin ke na rahenge
mirza munshi apni gora na karenge
sunne ko qisas-e-chin-e-jabin ke na rahenge
sun lenge jo mujh gham-zada ke nala-e-mauzun
mushtaq wo diwan-e-hazin ke na rahenge
darwaza ka parda to rahe kan ka parda
hum ru-ba-ru us parda-nashin ke na rahenge
allah ne chaha to hum ai barhamn-e-dair
mushtaq kisi lobat-e-chin ke na rahenge
ruKHsar se tashbih teri denge hum ai jaan
jab dagh ruKH-e-mah-e-mubin ke na rahenge
oDhte hue ye tair-e-rang apna jo dekha
to hosh baja ruh-e-amin ke na rahenge
kis dard ki aawaz se chillai hai bulbul
hum pas to us murgh-e-hazin ke na rahenge
dekhenge jo us but ko to wallah yaqin hai
iman baja ahl-e-yaqin ke na rahenge
paband rahe kaun yahan nam ki KHatir
halqa mein kabhi misl nagin ke na rahenge
hum DhunDte phirte hain tujhe dair-o-haram mein
gar hai ye tamanna to kahin ke na rahenge
paband hue shakl-e-asir ab to yahan 'mehr'
aisa hi jo dil hai to kahin ke na rahenge
(879) Peoples Rate This