Karte Hain Shauq-e-did Mein Baaten Hawa Se Hum
karte hain shauq-e-did mein baaten hawa se hum
jate hain ku-e-yar mein pahle saba se hum
pichhe kahin rahe nahin aah-e-rasa se hum
jate hain ku-e-yar mein pahle saba se hum
iza ki apni fikr karenge dawa se hum
DhunDenge koi maut ka nusKHa shifa se hum
zahid bura na manenge is bad-dua se hum
hon but-parast chahte hain ye KHuda se hum
uljhenge ek bar to zulf-e-dota se hum
saudai hun saDi hun tumhaari bala se hum
tegh-e-nigah na tir-e-mizha ne kiya halak
han mar gae hain aap hi apni qaza se hum
na-qadr se hi qadr ki ummid hai abas
o be-wafa KHajil hue apni wafa se hum
ghar ja ke un ke rog laga lae ishq ka
bimar ho ke aae hain darushshifa se hum
aab-e-hayat KHizr-o-sikandar ko chahiye
saqi faqat sharab ke hain ek piya se hum
bole masih dekh ke bimar-e-ishq ko
majbur hain isi maraz-e-la-dawa se hum
jheli hui hain ishq mein lakhon musibaten
Darte nahin hai aap ke jaur-o-jafa se hum
ghar mein huzur ke hamein sona nasib ho
aae hain mal marne daulat-sara se hum
gulzar hai shahidon ka jannat ka ham-sawad
jaenge to na aaenge phir karbala se hum
qismat ka apni pech hua gesuon ka pech
badlen siyah tale-e-zill-e-huma se hum
dil mein tere asar na hua arsh hil gaya
nadim hain na-rasai-e-ah-e-rasa se hum
achchha hua na dafn hui nash baad-e-marg
kya musht-e-ustuKHwan ko chhupate huma se hum
sote nahin hain raat ko bhi hum to chain se
karte hain 'mehr' uns jo ek mah-laqa se hum
(1009) Peoples Rate This