Jo Mehndi Ka BuTna Mala Kijiyega
jo mehndi ka buTna mala kijiyega
pasine ko itr-e-hina kijiyega
sitam kijiyega jafa kijiyega
yahi hoga aur aap kya kijiyega
phaDak kar nikal jaega dam hamara
qafas se jo hum ko riha kijiyega
jo kahta hun achchha nahin zulm karna
to kahte hain wo aap kya kijiyega
qayamat mein didar ka kab yaqin hai
yunhi lan-tarani suna kijiyega
kaha haal-e-dil to wo ye kah ke uTThe
main jata hun baiThe baka kijiyega
shahanshah kahte hain un ke gada se
hamare liye bhi dua kijiyega
gulon ka wahi pairahan hoga sahab
inayat jo apni qaba kijiyega
kinara bhala tum se ai bahr-e-KHubi
Dubone hi ko aashna kijiyega
munajjim ne hath un ke dekhe to bola
gulon ki qaba ko qaba kijiyega
meri jaan ke muddai aap honge
samaat agar muddaa kijiyega
bahut naz-parwarda hai dil hamara
zara lutf is par kiya kijiyega
na diwana bante jo malum hota
pari ban ke hum se uDa kijiyega
buto barq hain dard-mandon ki aahen
KHuda ke ghazab se Dara kijiyega
bahut faiz baKHshi ka sunte hain shohra
hamari bhi hajat rawa kijiyega
KHuda ke liye mirza-'mehr'-sahab
buton par kahan tak miTa kijiyega
(1477) Peoples Rate This