Izaen UThae Hue Dukh Pae Hue Hain
izaen uThae hue dukh pae hue hain
hum dil se ba-tang aae hain uktae hue hain
betab hain bechain hain ghabrae hue hain
hum dil se ba-tang aae hain uktae hue hain
un honThon ke bose ka maza pae hue hain
pyar aaya hai munh takte hain lalchae hue hain
zulfen wo bala ji ko jo uljhae hue hain
juDe ke ulaT beach mein dil aae hue hain
ghusse mein bhare baiThe hain jhallae hue hain
afroKHta hain ghairon ke bhaDkae hue hain
darwaze pe baiThe hain nikalwae hue hain
hum ne to Dhahi di wo ghazab Dhae hue hain
iThlae hue baiThe hain itrae hue hain
ab rup hai joban pe hain gadrae hue hain
kya baat hai kya baat hai teri lab-e-jaan-baKHsh
aisi bhi tere ahd mein dam khae hue hain
mujh par unhen rahm aae ye mumkin hi nahin hai
aise wo samajhte nahin samjhae hue hain
karta ghazab ab tak to hamara dil-e-betab
roke hue DanTe hue dhamkae hue hain
hangama rahega yun hi kuche mein tumhaare
aashiq kahan ja sakte hain dil aae hue hain
aaen to inayat hai nahin aate na aaen
hum dil ko tasawwur hi se bahlae hue hain
dil Thahar gaya zaKHm-e-jigar bhar gae apne
aaram hi hum tum ko jo lipTae hue hain
marne pe bhi afsurda-dili apni ayan hai
turbat pe meri phul bhi murjhae hue hain
aghyar-e-siyah-ru se bahut rabt hai un ko
wo chand hain ai 'mehr' to gahnae hue hain
(874) Peoples Rate This