Is Daur Mein Har Ek Tah-e-charKH-e-kuhan LuTa
is daur mein har ek tah-e-charKH-e-kuhan luTa
auron ka zar luTa mera naqd-e-suKHan luTa
KHalwat-nashin ho to dil-e-ashiq mein kar jagah
yun daulat-e-jamal na ai sim-tan luTa
bulbul ko kaisi kaisi huin aafaten nasib
gulchin ke dast-e-zulm se kya kya chaman luTa
fariyaad tak KHuda se na ki ai sanam teri
main be-zaban tere yahan ai be-dahan luTa
nabbash ki jafaen huin hum pe baad-e-marg
ai aasman zer-e-zamin bhi kafan luTa
jhonke chale hawa ke pareshan hui wo zulf
KHushbu tamam phaili hai mushk-e-KHutan luTa
'hatim' wo hun ki baad-e-fana dil ko dun salah
ab qabr mein bhi KHak uDaya kafan luTa
be-dil suKHan hun 'mehr' paDhun sinn-e-isawi
auron ka zar luTa mera naqd-e-suKHan luTa
(779) Peoples Rate This