Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_8bff2de7edf0784adbbbd128375bdfbb, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Humse Kinara Kyun Hai Tere Mubtala Hain Hum - Hatim Ali Mehr Poetry In English - Darsaal

Humse Kinara Kyun Hai Tere Mubtala Hain Hum

hum se kinara kyun hai tere mubtala hain hum

ai bahr-e-husn aa idhar aa aashna hain hum

naqus mai-kade mein bajaya to ye kaha

bande gunahgar tere ai KHuda hain hum

parwa nahin hai tum ko to hai tum pe kyun maren

dubhar na zindagi hai na ghar se siwa hain hum

hum se kisi ke ghamza-e-beja uThenge kya

nazuk-mizaj log hain hum mirza hain hum

ab kya banegi un se tabiat bigaD gai

ab KHush rahen wo jaan se apni KHafa hain hum

(836) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Humse Kinara Kyun Hai Tere Mubtala Hain Hum In English By Famous Poet Hatim Ali Mehr. Humse Kinara Kyun Hai Tere Mubtala Hain Hum is written by Hatim Ali Mehr. Read famous Poem Humse Kinara Kyun Hai Tere Mubtala Hain Hum for youth and Student by Hatim Ali Mehr. Free Download Humse Kinara Kyun Hai Tere Mubtala Hain Hum in PDF.