Guzra Apna Pas-e-murdan Hi Sahi
guzra apna pas-e-murdan hi sahi
kucha-e-yar mein madfan hi sahi
KHair jo rang nahin hai to na ho
tegh khincho meri gardan hi sahi
qabr-e-bulbul pe chalun rone ko
aaj gulzar mein shewan hi sahi
but to wallah bana lenge kabhi
shor-e-naqus barahman hi sahi
josh-e-wahshat hai dila najd ko chal
sair karne ke liye ban hi sahi
shama to yar chaDhata hi nahin
dagh-e-dil qabr mein raushan hi sahi
haal kuchh mere gareban mein nahin
ai junun dasht ka daman hi sahi
koi ham-chashm to ho zindan mein
hairati dida-e-rauzan hi sahi
missi malida dahan mein hai kalam
bosa-ha-e-ghuncha-e-sausan hi sahi
naseha us ki burai to na kar
na sahi dost wo dushman hi sahi
gul-ruKHon se to hui qata umid
'mehr' nazzara-e-gulshan hi sahi
(767) Peoples Rate This