Gul-bang Thi Gulon Ki Hamara Tarana Tha
gul-bang thi gulon ki hamara tarana tha
apna bhi us chaman mein kabhi aashiyana tha
kucha mein us ke nala mera be-kasana tha
apna bhi is chaman mein kabhi aashiyana tha
jab koi zulf mein bhi na kuchh daKHl-e-shana tha
saudai tha mizaj mera aashiqana tha
bulbul ko apna nala mauzun tarana tha
har gul bhi mail ghazal-e-ashiqana tha
nalon mein bulbulon ki jo rang-e-tarana tha
fasl-e-bahaar thi wo gulon ka zamana tha
uljha hua jo gesu-e-jaanan mein shana tha
sumbul mein ek aur naya shaKH-e-shana tha
saudaiyon ko thi teri uljhan bala ki raat
zulf-e-dota ka tul-o-tawil ek fasana tha
jate hain aap aur bura haal hai mera
aati jo ab to maut ko achchha bahana tha
tir-e-nigah ki jo kaman thi juDi hui
apna jigar kabhi to kabhi dil nishana tha
dariya-e-mai ki ghat utarenge hum unhen
shirin ka ju-e-shir ka agla zamana tha
apni shab-e-visal ka allah-re ehtimam
shabnam ki shabnami thi falak shamiyana tha
kamli ko apna tan ke soya faqir mast
kya pashm tha amiron ka jo shamiyana tha
kaba ka ehtiram KHuda-saz ho gaya
us waqt mein kahan ye tera aastana tha
dair-o-haram mein kya tha agar hum se puchhiye
shayan-e-sajda-e-yar tera aastana tha
kunj-e-qafas mein shikwa-e-sayyaad kya karun
us ka qusur kya hai mera aab-o-dana tha
rozi hua hai dana-e-zanjir-o-ab-e-tegh
qismat ka aashiqon ki ye hai aab-o-dana tha
lohe ke the chane tere chhinTe ghazab ke thi
sayyaad KHub apne liye aab-o-dana tha
ho mujh sa andalib KHush-ilhan asir-e-dam
sayyaad ka nasib mera aab-o-dana tha
gandum jo KHuld mein to yahan thi sharab-e-nab
ek main tha do jagah pe mera aab-o-dana tha
rind-e-sharab-e-KHar raha main tamam-umr
angur ka nasib mujhe aab-o-dana tha
main wo sadaf hun jis ke hai dariya-dili ka shor
jo hans chug raha hai mera aab-o-dana tha
bulbul ke aage apni baDi baat rah gai
ghuncha se to kahin tera chhuTa diya na hath
rangin-KHayaliyan dam-e-fikr-e-suKHan na thin
zeb tan-e-urus libas-e-shahana tha
missi kabhi mali kabhi gesu bana kiye
shab-bhar shab-e-visal mein hila-bahana tha
tujh se siwa to ai sanam allah ka hi nam
achchha tha han hasin tha yusuf bura na tha
yaran-e-raftagan ka nishan KHak DhunDhiye
reg-e-rawan ka qafila tha jo rawana tha
munh dekhi un ke samne kahte nahin hain hum
apni zaban pe wasf-e-dahan ghaebana tha
baad-e-bahaar ja ke oDa lai bagh mein
kya ganj-e-shaegan zar-e-gul ka KHazana tha
apna samand-e-umr jama jam ke uD gaya
shayad hamara raaz-e-nafas taziyana tha
raaz-e-nihan kisi pe na apna ayan hua
na-ashna-e-gosh hamara fasana tha
pahchaniye to KHak ke putlon ki KHak ko
begana kaun kaun sa un mein yagana tha
us shoala-ru ki thi jo dil-e-saf mein jagah
aatish-kada ye 'mehr' ka aaina-KHana tha
(1209) Peoples Rate This