Duboegi Buto Ye Jism Dariya-bar Pani Mein
Duboegi buto ye jism dariya-bar pani mein
banegi mauj bhi mere liye zunnar pani mein
ghubar-e-dida-tar se takaddur dil ka zahir hai
tamasha hai uThi miTTi ki ek diwar pani mein
tan-e-be-jaan mein jaan aai hai abru ke ishaare se
bujhi thi chashma-e-haiwan ki ye talwar pani mein
yahi rona hai furqat mein to jaan aankhon se niklegi
hai murgh-e-abi uDne ke liye tayyar pani mein
hamein kya ghair ke kheton pe jo abr-e-karam barsa
na aai apni jaanib to kabhi bauchhaar pani mein
taDapta hun main ro ro ke KHayal-e-mushaf-ruKH mein
ki ghusl-e-irtimasi karte hain din-dar pani mein
mere rone pe wo hanste hain to aghyar jalte hain
tilism-e-taza hai bad-gil hue finnar pani mein
hue gharq-e-araq jo sharm-e-isyan se wo pak uTThe
hua karte hain paida gauhar-e-shahwar pani mein
na hogi aabru-e-arzi to jauhar-e-zati
piyen sone ka pani bhi agar zardar pani mein
jo tu aaina rakh kar samne zewar pahanta hai
teri baali ki machhli tairti hai yar pani mein
sharab-e-nab hai ek qism ka pani hai ai zahid
abas kyun hai tujhe ai na samajh inkar pani mein
latifuttaba juz rahat nahin dete kabhi iza
nahin mumkin ki paida ho chhuri ki dhaar pani mein
bana dete hain dam mein saikDon gumbad hababon ke
KHuda ki shan rahte hain ajab meamar pani mein
(909) Peoples Rate This