Dida-e-jauhar Se Bina Ho Gaya

dida-e-jauhar se bina ho gaya

aaina mahw-e-tamasha ho gaya

dekh kar aaina-e-zanu tera

aaina mahw-e-tamasha ho gaya

baad-e-mojid aalam-e-ijad mein

aaina mahw-e-tamasha ho gaya

kar diya hairan jise dikhlai shakl

aaina mahw-e-tamasha ho gaya

wo halab pahuncha to sun lena ye haal

aaina mahw-e-tamasha ho gaya

pusht-bar-diwar hai teri huzur

aaina mahw-e-tamasha ho gaya

samne se tere Talta hi nahin

aaina mahw-e-tamasha ho gaya

shana hai dil chaak mashshata hai dang

aaina mahw-e-tamasha ho gaya

dekh kar us ru-e-rangin ki bahaar

aaina mahw-e-tamasha ho gaya

tere aage chashm-e-ashiq ki tarah

aaina mahw-e-tamasha ho gaya

'mehr' ko sakta hai ya ai rashk-e-mah

aaina mahw-e-tamasha ho gaya

mahfil-e-ishrat mein mah-ruyon ke 'mehr'

aaina mahw-e-tamasha ho gaya

(785) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dida-e-jauhar Se Bina Ho Gaya In English By Famous Poet Hatim Ali Mehr. Dida-e-jauhar Se Bina Ho Gaya is written by Hatim Ali Mehr. Read famous Poem Dida-e-jauhar Se Bina Ho Gaya for youth and Student by Hatim Ali Mehr. Free Download Dida-e-jauhar Se Bina Ho Gaya in PDF.