Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_ff26477b2271a48eb1f639d30e33e357, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Chain Pahlu Mein Use Subh Nahin Sham Nahin - Hatim Ali Mehr Poetry In English - Darsaal

Chain Pahlu Mein Use Subh Nahin Sham Nahin

chain pahlu mein use subh nahin sham nahin

ek dam bhi dil-e-bimar ko aaram nahin

ruKH par nur nahin zulf-e-siyah-fam nahin

wo zamana nahin wo subh nahin sham nahin

shahron shahron meri ruswai ka shohra pahuncha

mujh sa duniya mein koi aashiq-e-bad-nam nahin

chand hi taron ki jhurmuT mein zara dekh ai dil

gon mein shoKH-e-nasara ki ye bu-tam nahin

waizon jae jahannam mein faza-e-jannat

KHar hain gul meri nazron mein jo gulfam nahin

nale karta hun kabhi ya kabhi tadbir-e-visal

aur to hijr ki shab mein mujhe kuchh kaam nahin

fasl-e-gul aai to kya be-sar-o-saman hain hum

shisha-o-jam nahin saqi-e-gul-fam nahin

dil gaya din gaya jaan gai ulfat mein

aur aaghaz hi dekha abhi anjam nahin

bose do tin to le lene di mujh ko lillah

kaam ke waqt na kar o but KHud kaam nahin

laKHlaKHa ki ewaz us zulf ki bu sughunga

hai tap-e-ishq mein sauda mujhe sarsam nahin

naza mein dekh ke jita hun tere koThe ko

lab-e-isa hai ye ai jaan lab-e-baam nahin

'mehr' be-lutf hai bazm-e-shoara be-mashuq

bulbulen chahchahe mein hain koi gulfam nahin

(845) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chain Pahlu Mein Use Subh Nahin Sham Nahin In English By Famous Poet Hatim Ali Mehr. Chain Pahlu Mein Use Subh Nahin Sham Nahin is written by Hatim Ali Mehr. Read famous Poem Chain Pahlu Mein Use Subh Nahin Sham Nahin for youth and Student by Hatim Ali Mehr. Free Download Chain Pahlu Mein Use Subh Nahin Sham Nahin in PDF.