Ba-KHuda Hain Teri Hindu Bu-e-mai-KHwar Aankhen
ba-KHuda hain teri hindu bu-e-mai-KHwar aankhen
nashshe ki Dori nahin pahne hain zunnar aankhen
chashm-e-ahu se gharaz thi na mujhe nargis se
teri aankhon se jo miltin na ye do-chaar aankhen
chaar-chashm is liye kahta hai mujhe ek aalam
ki meri aankhon mein phirti hain teri yar aankhen
dekhte rahte hain hum rah tumhaari sahab
aap aate nahin aa jati hain har bar aankhen
pyar se main ne jo dekha to wo farmate hain
dekhiye dekhiye hoti hain gunahgar aankhen
chum lete hain wo aaine mein aankhen apni
lab masihai karenge ki hain bimar aankhen
aagara chhuT gaya 'mehr' to chunnar mein bhi
DhunDa karti hain wahi kucha-o-bazar aankhen
(939) Peoples Rate This