Badan-e-yar Ki Bu-bas UDa Lae Hawa
badan-e-yar ki bu-bas uDa lae hawa
jaan aa jae jo wan ho ke yahan aae hawa
badan-e-yar ko bas chhu ke na itrae hawa
itr ki ban ke lapaT mujh se lipaT jae hawa
un ke kuche mein ghubar apna uDa kar le jae
mujh pe ehsan kare mere bhi kaam aae hawa
bandh gai bagh mein teri to hawa baad-e-saba
un ke kuche mein meri aah ki bandh jae hawa
kyun na ho baad-e-bahaari mujhe ye farmaish
kyun na bandhun main hawa yar jo bandhwae hawa
tu mile 'mehr' se ai mah yahi tariKH ho sach
gulshan-o-baada-o-gul mein tujhe garmae hawa
(763) Peoples Rate This