Aalam-e-hairat Ka Dekho Ye Tamasha Ek Aur
aalam-e-hairat ka dekho ye tamasha ek aur
yar ne aaine mein apna sa dekha ek aur
marne walon mein raha jata hai jita ek aur
nim-bismil hun main qatil hath pura ek aur
rafta rafta dil ko dil se rah ho jae kahin
un se milne ka rahe poshida rasta ek aur
ek to missi ka naqsha jam raha hai sham se
pan ki lali ne rang apna jamaya ek aur
main ne mana aap ne bose diye main ne liye
wo kahan nikli jo hai meri tamanna ek aur
yaad mein ek shoKH punjabi ke rote hain jo hum
aaj-kal punjab mein bahta hai dariya ek aur
un ka jhumar dekh kar kahne lage ahl-e-zamin
dekh le ai aasman aqd-e-surayya ek aur
jite-ji to daman-e-sahra ka KHilat mil gaya
baad marne ke mile un ka dupaTTa ek aur
bazm se saqi ke hum se rind nikle pak-saf
apna ab kabe mein pahunchega musalla ek aur
shairan-e-asr ki tujh ko to hai paighambari
bu-salimi bhi hue ai 'mehr' paida ek aur
(930) Peoples Rate This