Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_eeb645178e498a79cece202e49260b08, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ye Mumkin Hai Ki Mil Jaen Teri Khoi Hui Chizen - Hastimal Hasti Poetry In English - Darsaal

Ye Mumkin Hai Ki Mil Jaen Teri Khoi Hui Chizen

ye mumkin hai ki mil jaen teri khoi hui chizen

qarine se saja kar rakha zara bikhri hui chizen

kabhi yun bhi hua hai hanste hanste toD di hum ne

hamein malum tha juDti nahin TuTi hui chizen

zamane ke liye jo hain baDi nayab aur mahngi

hamare dil se sab ki sab hain wo utri hui chizen

dikhati hain hamein majburiyan aise bhi dil aksar

uThani paDti hain phir se hamein phenki hui chizen

kisi mahfil mein jab insaniyat ka nam aaya hai

hamein yaad aa gai bazar mein bikti hui chizen

(1099) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Mumkin Hai Ki Mil Jaen Teri Khoi Hui Chizen In English By Famous Poet Hastimal Hasti. Ye Mumkin Hai Ki Mil Jaen Teri Khoi Hui Chizen is written by Hastimal Hasti. Read famous Poem Ye Mumkin Hai Ki Mil Jaen Teri Khoi Hui Chizen for youth and Student by Hastimal Hasti. Free Download Ye Mumkin Hai Ki Mil Jaen Teri Khoi Hui Chizen in PDF.