Shishe Ke Muqaddar Mein Badal Kyun Nahin Hota
shishe ke muqaddar mein badal kyun nahin hota
in pattharon ki aankh mein jal kyun nahin hota
qudrat ke usulon mein badal kyun nahin hota
jo aaj hua hai wahi kal kyun nahin hota
har jhil mein pani hai har ek jhil mein lahren
phir sab ke muqaddar mein kanwal kyun nahin hota
jab us ne hi duniya ka ye diwan racha hai
har aadmi pyari si ghazal kyun nahin hota
har bar na milne ki qasam kha ke mile hum
apne hi iradon pe amal kyun nahin hota
har ganw mein mumtaz janam kyun nahin leti
har moD pe ek taj-mahal kyun nahin hota
(1568) Peoples Rate This