KHwab Mein Tera Aana-jaana Pahle Bhi Tha Aaj Bhi Hai
KHwab mein tera aana-jaana pahle bhi tha aaj bhi hai
tujh se ek rishta an-jaana pahle bhi tha aaj bhi hai
rang badalti is duniya mein sab kuchh badal gaya lekin
mere labon par tera fasana pahle bhi tha aaj bhi hai
apne dukh-sukh kah lena kabhi hans lena kabhi ro lena
tanhai se apna yarana pahle bhi tha aaj bhi hai
jis panchhi ki parwazon mein josh-e-junun bhi shamil ho
us ki KHatir aab-o-dana pahle bhi tha aaj bhi hai
rah-e-wafa mein phul nahin hain KHar bahut hain 'hasti' ji
pyar ka dushman sara zamana pahle bhi tha aaj bhi hai
(1451) Peoples Rate This