Is Bar Mile Hain Gham Kuchh Aur Tarah Se Bhi

is bar mile hain gham kuchh aur tarah se bhi

aankhen hain hamari nam kuchh aur tarah se bhi

shoala bhi nahin uThta kajal bhi nahin banta

jalta hai kisi ka gham kuchh aur tarah se bhi

har shaKH sulagti hai har phul dahakta hai

girti hai kabhi shabnam kuchh aur tarah se bhi

manzil ne diye tane raste bhi hanse lekin

chalte rahe aksar hum kuchh aur tarah se bhi

daman kahin phaila to mahsus hua yaro

qad hota hai apna kam kuchh aur tarah se bhi

us ne hi nahin dekha ye baat alag warna

is bar saje the hum kuchh aur tarah se bhi

(1053) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Is Bar Mile Hain Gham Kuchh Aur Tarah Se Bhi In English By Famous Poet Hastimal Hasti. Is Bar Mile Hain Gham Kuchh Aur Tarah Se Bhi is written by Hastimal Hasti. Read famous Poem Is Bar Mile Hain Gham Kuchh Aur Tarah Se Bhi for youth and Student by Hastimal Hasti. Free Download Is Bar Mile Hain Gham Kuchh Aur Tarah Se Bhi in PDF.