Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_7bb10df091409333d7f390722f39c257, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Charagh Dil Ka Muqabil Hawa Ke Rakhte Hain - Hastimal Hasti Poetry In English - Darsaal

Charagh Dil Ka Muqabil Hawa Ke Rakhte Hain

charagh dil ka muqabil hawa ke rakhte hain

har ek haal mein tewar bala ke rakhte hain

mila diya hai pasina bhale hi miTTi mein

hum apni aankh ka pani bacha ke rakhte hain

hamein pasand nahin jang mein bhi makkari

jise nishane pe rakkhen bata ke rakhte hain

kahin KHulus kahin dosti kahin pe wafa

baDe qarine se ghar ko saja ke rakhte hain

ana-pasand hain 'hasti'-ji sach sahi lekin

nazar ko apni hamesha jhuka ke rakhte hain

(1593) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Charagh Dil Ka Muqabil Hawa Ke Rakhte Hain In English By Famous Poet Hastimal Hasti. Charagh Dil Ka Muqabil Hawa Ke Rakhte Hain is written by Hastimal Hasti. Read famous Poem Charagh Dil Ka Muqabil Hawa Ke Rakhte Hain for youth and Student by Hastimal Hasti. Free Download Charagh Dil Ka Muqabil Hawa Ke Rakhte Hain in PDF.