Tamam Taron Ko Jaise Qamar Se JoDa Hai
tamam taron ko jaise qamar se joDa hai
meri jabin ko tere sang-e-dar se joDa hai
KHuda ne KHud ko ba-zahir chhupa ke rakkha hai
hamare dil ko na jaane kidhar se joDa hai
visal-o-hijr ki tartib ulTi rakkhi hai
idhar ka silsila us ne udhar se joDa hai
KHuda ne sada qalam se banaya hum sab ko
tere wajud ko apne hunar se joDa hai
ye chand bhi to tere husn ka bhikari hai
tumhaare husn ko kis ne qamar se joDa hai
tamam lazzaten duniya ke dil mein rakkhi hain
KHuda ne sukh ko magar apne ghar se joDa hai
tamam midhaten waqf-e-ba-nam-e-ahmad hain
tamam zikr ko is tajwar se joDa hai
(888) Peoples Rate This