Ru-e-zeba Nazar Nahin Aata
ru-e-zeba nazar nahin aata
apna jina nazar nahin aata
laf-e-ulfat bahut zamane mein
marne wala nazar nahin aata
dard-e-dil ki dawa hai jis ki nazar
wo masiha nazar nahin aata
gul-o-gulshan se kya tasalli ho
gul-e-rana nazar nahin aata
phul buTe bahut hain gulshan mein
sarw-e-baala nazar nahin aata
tab-e-mawwaj ke muqabil ho
aisa dariya nazar nahin aata
jis pe miT jaane ki tamanna hai
wo sarapa nazar nahin aata
chhan Dala jahan us ke liye
nahin aata nazar nahin aata
jis mein wahshat ke hausle niklen
aisa sahra nazar nahin aata
thak gai tare ginte ginte nigah
mah-sima nazar nahin aata
jis mein surat-numa ho naqsh-e-murad
aisa naqsha nazar nahin aata
lakhon jalwa nazar mein hain 'hasrat'
jalwa-farma nazar nahin aata
(662) Peoples Rate This