Un Ko Jo Shughl-e-naz Se Fursat Na Ho Saki
un ko jo shughl-e-naz se fursat na ho saki
hum ne ye kah diya ki mohabbat na ho saki
shukr-e-jafa bhi ahl-e-raza ne kiya ada
un se yahi nahin ki shikayat na ho saki
shab ka ye haal hai ki teri yaad ke siwa
dil ko kisi KHayal se rahat na ho saki
pa-bos ki bhi hum ko ijazat na de sake
itni bhi tum se qadr-e-mohabbat na ho saki
gharq-e-surur-o-sur mujhe pa ke dafatan
naseh se tark-e-mai ki nasihat na ho saki
KHamoshiyon ka raaz-e-mohabbat wo pa gae
go hum se arz-e-haal ki jurat na ho saki
kar di zaban-e-shauq ne sab sharh-e-arzu
alfaz mein agarche sarahat na ho saki
lutf-e-mazid ki main tamanna to kar saka
tum ye to kah sake ki qanaat na ho saki
kyun itni jald ho gae ghabra ke hum fana
ai dard-e-yar kuchh teri KHidmat na ho saki
waiz ko apne aib-e-riya ka raha KHayal
rindon ki saf saf mazammat na ho saki
arbab-e-qal haal pe ghaalib na aa sake
zahid se aashiqon ki imamat na ho saki
aisa bhi kya itab ki saqi bachi-kuchhi
aaKHir mein kuchh bhi hum ko inayat na ho saki
un se main apne dil ka taqaza na kar saka
ye baat thi KHilaf-e-murawwat na ho saki
kyun aae hosh mein jo ibaadat na kar sake
pir-e-mughan ki hum se itaat na ho saki
'hasrat' teri nigah-e-mohabbat ko kya kahun
mahfil mein raat un se shararat na ho saki
(1016) Peoples Rate This